Urdu Ghazal shayari

Poetry Menia has alot of Urdu Ghazal Shayari Poetry. Feel Free to add your Own Ghazal Shayari in comment box. We update our Database on daily basis so keep coming back for more Ghazal Shayari.


Kabhi Socha Tumnay....


-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Dukh Boltay hain....

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Bharosa Toot Janay say Zara Pehlay Batana....

Bharosa toot jane se zara pehle bata dena,
Mujhe tum azmaane se zara pehle bata dena,
Kisi heelay bahane se zara pehle bata dena,
Ke tum mujh ko bhulane se zara pehle bata dena,

Zehen ki rait pr tum ne mohabbat se jo likhi thi,
Woh tehreeren mitaane se zara pehle bata dena,


Mere dilbar, ke is dil pr main rakh loon zabt ka pathar,
Suno, daaman churaane se zara pehle bata dena,
Kisi bhi morr pr humdum bura pao agar mujh ko,
Zamaane ko batane se zara pehle bata dena..

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi

Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi
Log Be-Waja Udaasi Ka Sabab Puchen Ge
Ye Bhi Puchen Ge K Tum Itni Preshan Kiun Ho
Ungliyan Uthen Gi Sookhy Hue Baalon Ki Taraf
Ek Nazar Dekhen Ge Guzry Hue Saalon Ki Taraf
Chooriyon Par Bhi Kayi Tanz Kiye Jaenge
Kanpty Hathon Pe Fikry Bhi Kassy Jaenge
Log Zalim Hain Her Ek Baat Ka Tana Denge
Baaton Baaton Me Mera Zikr Bhi Le Kar Aenge
Un Ki Baaton Ka Zara Sa Bhi Asar Mat Lena
Warna Chehry K Ta'asur Se Samajh Jaenge
Chahe Kuch Bhi Ho Sawalaat Na Karna Un Se
Mere Bary Me Koi Baat Na Karna Un Se
Baat Nikle Gi To Phir Door Talak Jaegi...

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Is Baar Phir Se Di Jo Mohlat Nayi Si Hai

Is Baar Phir Se Di Jo Mohlat Nayi Si Hai
Ye Zindgi Ki Mujh Pe Inayat Nayi Si Hai

Khush Bakhtiyan Meri Jo Dastak Di Khushi Ne
Is Lamha Mili Mujh Ko Ye Rahat Nayi Si Hai

Wo Ranj-o-Fikr, Gham K Zamany Guzar Gaye
Ab Hum Pe Zamany Ki, Inayat Nayi Si Hai

Her Soo Fiza Me Raqs Ka Manzar Hai Phaila
Rangeeniyon Se Rut Ki Ye Raghbat Nayi Si HaI...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Main Manta Hun Mujhse Khata Ho Gai

Main Manta Hun Mujhse Khata Ho Gai Magar
Us Ne Bhi Mujh Ko Maaf Na Kar K Ghalat Kiya

Uska Bichar K Jana Meri Maut Ban Gaya
ilzaam Mujh Pe De Gaya Mar K Ghalat Kiya

Uska Koi Qasoor Nahi Ajnabi Tha Wo
Chahat Me Uski Mene Utar K Ghalat Kiya

Wo Keh Raha Tha Door Teri Dastaras Se Hun
Mene Hi Aitemaad Na Kar K Ghalat Kiya

Ab Tak Samajh Raha Tha Mohabbat Hai Bandagi
Ab Mujh Ko Lag Raha Hai K Kar K Ghalat Kiya

Dekha Usy To Phir Se Khalish Dil Main Uth Gai
Mazher Gali Se Uski Guzar K Ghalat Kiya...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Shaam Ko Yoon Teri Palkon Ka Larazty Rehna

Shaam Ko Yoon Teri Palkon Ka Larazty Rehna
Doob Jaye Jo Ye  Manzar To Barasty Rehna

Me Agar Toot Bhi Jaun to Aaina Hun
Tum Mere Baad Bhi Her Roz Sanwarty Rehna

Us Ki Aadat Wohi Har Baat Adhoori Krna
Aur Phir Baat Ka Mafhoom Badalty Rehna

Aaj Se SeeKh Lia Hai Ye Qareena Hum Ne
Bujh Bhi Jana To Bari Dair Sulagty Rehna

Jane Kis Umar Me Jaye Gi Ye Aadat Apni
Roothna Us Se To Auron Se Ulajhty Rehna...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Wo Darjan Bhar Maheeno Se

Wo Darjan Bhar Maheeno Se
Zara Mumtaz Lagta Hai

December Kis Liye Akhir
Hamesha Khas Lagta Hai

Bohat Sehmi Hui Subhein
Udaasi Se Bhari Shamein

Dopehrein Roi Roi Si
Wo Ratein Khoi Khoi Si

Garam Dabeez Shawlon Ka
Wo Kam Roshan Ujaalon Ka

Kabhi Guzry Hawalon Ka
Kabhi Mushkil Sawalon Ka

Bichar Jane Ki Mayoosi
Milan Ki Aas Lagta Hai

December Kis Liye Akhir
Hamesha Khas Lagta Hai...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Bichar Kar Tujh Se Zinda Hun Meri Taqdeer

Bichar Kar Tujh Se Zinda Hun Meri Taqdeer To Dekh
Kabhi Aa Kar Mere Halaat ki Tasveer To Dekh

Mujhe Mehfil Main Dekha To Kaha Us ne Raqeebon Se
Mera Aashiq, Mera Pagal, Mera Dilgeer To Dekh

Teri Tasveer k Peechy Hain Jaalay Be-Wafai K
Ulat Kar Tu Zara Apni Kabhi Tasveer To Dekho

De Kar Pyar Ki Daulat Khareedy Khoon k Aansoo
Mili Jo Ishq Main Hum Ko Zara Jageer To Dekho

Likha Hai Naam Mera Sharaarat Hai Raqeebon Ki
Ye Khatt Mera Nahi Jaana Zara Tehreer To Dekh...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Seenay Se Is Tarha Ye Dil-e-Natwan Gaya

Seenay Se Is Tarha Ye Dil-e-Natwan Gaya
Hum Sub Se Poochte Rahe Aakhir Kahan Gaya

Dil Ka Safar Hai Aur, Ye Qadmon Ki Chaal Aur
Hum Ho K Aa Gaye To Wahan Kaarwan Gaya

Aisi Pari Wo Mujh Pe Ebadat-Shikan Nigaah
Sajda Gaya, Namaz Gai, Aastan Gaya

Jangal Main Is Tarha Ki Udaasi Kabhi Na Thi
Aye Kaarwan Theher, Mera Sathi Kahan Gaya

Sab Mujh Ko Sun Rahe The Bare Inhamaak Se
Boli Wo Aankh Kya, Mera Zor-e-Bayan Gaya

Rashid Wo Aik Shakhs Tha Duniya Mere Liye
Wo Kya Gaya K Sara Rang-e-Jaahan Gaya...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zaban Kehte Kehte

Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zaban Kehte Kehte
Hich-Kicha Gaya Main Khud Ko Musalman Kehte Kehte

Ye Bat Nahi K Mujh Ko Rab Par Yakeen Nahi
Bus Dar Gaya Khud Ko Sahib-e-Emaan Kehte Kehte
Tofeeq Na Hui Mujhe Ek Waqt Ki Namaz Ki
Aur Chup Hua Muazzan Azaan Kehte Kehte

Kisi Kafir Ne Jo Pucha K Ye Kya Hai Maheena
Sharm Se Pani Hath Se Gir Gaya Ramzan Kehte Kehte

Meri Almari Main Gard Se Atti Kitaab Ka Jo Pucha
Main Garh Gaya Zameen Main Quran Kehte Kehte

Ye Sun K Chup Saadh Li IQBAL Us Ne
Yun Laga Jese Ruk Gaya Wo Mujhe Hewaan Kehte Kehte...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Murawat Me Kaha Hai Us Ko Mene Laut

Murawat Me Kaha Hai Us Ko Mene Laut Ana Hai
Pata Us Ko Bhi Hai Mene Usy Ab Chor Jana Hai

Nazar K Samny Aao Zaruri Nahi Jana
Kia Hai Faisla Dil Ne Tumhe Khud Me Basana Hai

Kadi Hai Is Qadar Manzil Atty Hain Dhool Me Raste
Nahi Pehchan Raston Ki Magar Chalte Hi Jana Hai

Khara Hai Mere Aangan Me Hua Hai Khushk Ye Kab Ka
Purana Paidd Hai Garche Nahi Us Ko Girana Hai

Nahi Tinush Ki Manzil Safeena Jo Theher Jaye
Samandar Me Utar Kar Hi Usy Maqsood Pana Hai...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Roz Ek Saniha Sa Hota Hai

Roz Ek Saniha Sa Hota Hai
Rat Bhar Dil Kisi Ka Rota Hai

Kese Alfaz Me Likhun Jo Bhi
Aalam-e-Bebasi Me Hota Hai

Hum Hi Uthte Hain Rat Ko Warna
Kon Raton Ki Neend Khota Hai

Aik Jesa Hai Mera Wasal-o-Firaq
Tere Rukh Pe Naqab Hota Hai

Muskurate Nazar Jo Ate Hain
Dil Me Zakhmon Ka Sheher Hota Hai

Char Din Ki Hayat Me Akif
Kab Koi Pur-Sukoon Hota Hai...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Ek Muhabbat Ka Pas Tha Warna

Ek Muhabbat Ka Pas Tha Warna
Mujh Ko Kya Kya Na Ras Tha Warna

Tu To Ranaiyon Me Gum Hi Raha
Me Tere Aas Pas Tha Warna

Tere Kehne Pe Tujh Ko Na Manga
Tu Mri Eltimas Tha Warna

Aaj Bethe Ho Ghair K Pehlu
Tu Mri Pehli Aas Tha Warna

Mujh Ko Bakhshi Nigaah Qudrat Ne
Me To Duniya Shanaas Tha Warna

Aaj Mujh Se Na Wasta Hafiz
Koi Mujh Se Na Khas Tha Warna...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Zor-e-Bazu Se Muhabbat Nahi Hasil Hoti

Zor-e-Bazu Se Muhabbat Nahi Hasil Hoti
Is Zamany Me Amanat Nahi Hasil Hoti

Bat Banti Hai Muqaddar Me Likhi Ho Warna
Rat-Jagon Ko Bhi Ibadat Nahi Hasil Hoti

Nala-e-Gham Ye Jahan Bhar Ko Kiun Sunate Ho
Ghair K Dar Se Hamayat Nahi Hasil Hoti

Lar-Kharaen Na Qadam Ehal-e-Jahan Se Jana
Kab Muhabbat Me Adawat Nahi Hasil Hoti

Dil Ki Awaz Ko Sunte Hain Faqat Dil Wale
Har Kisi Ko Ye Sama'at Nahi Hasil Hoti

Khush Naseebi Ho To Milti Hai Khabar Any Ki
Bad-Naseebi Pe Basharat Nahi Hasil Hoti

Hum Bhi Dikhlaen Ge Unhe Apni Muhabbat Akif
Jane Kiun Aisi Jasarat Nahi Hasil Hoti...

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala

Kitna Ghafil Hai Mujhe Acha Samjhne Wala
Kya Basaye Ga Mujhe Khud Hi Ujarne Wala

Kya Tamasha Hai K Me Us Pe Bigar Betha Hun
Wo Jo Mash-Hoor Hai Logon Me Bigarne Wala

Zinda Rehne Ka Sabab Kya Hai Ye Dil Se Puch
Juzz Tere Or Nahi Koi Dharakne Wala

Naao Doobi Meri Karte Hue Deedar Tera
Or Tera Naam Hi Leta Tha Ubharne Wala

Teri Waja Se Hi Larta Hun Zamany Bhar Se
Me Hun Mash-Hoor Zamany Me Jhagarne Wala

Kesi Ankhein Hain Wo Zalim Ki Samandar Jesi
Kitna Roshan Tera Chehra Hai Chamakne Wala

Tumhe Maloom Hai Kon Likhe Ga Ye Ghazal
Tumhare Ishq Me Bar-Waqt Tarapne Wala...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


0 comments:

Post a Comment